Kali Chalisa
Download PDF

Kali Chalisa

The Kali Chalisa — the forty-verse hymn to Maa Kali, the fierce mother who destroys evil, recited for protection and fearlessness.

जय काली कलिमलहरण, महिमा अगम अपार।
महिष मर्दिनी कालिका, देहु अभय अपार॥

अरि मद मान मिटावन हारी। मुण्डमाल गल सोहत प्यारी॥
अष्टभुजी सुखदायक माता। दुष्टदलन जग में विख्याता॥

भाल विशाल मुकुट छवि छाजै। कर में शीश शत्रु का साजै॥
दूजे हाथ लिए मधु प्याला। हाथ तीसरे सोहत भाला॥

चौथे खप्पर खड्ग कर पांचे। छठे त्रिशूल शत्रु बल जांचे॥
सप्तम कर दमकत असि प्यारी। शोभा अद्भुत मात तुम्हारी॥

अष्टम कर भक्तन वर दाता। जग मनहरण रूप ये माता॥
भक्तन में अनुरक्त भवानी। निशदिन रटें ॠषी-मुनि ज्ञानी॥

महाशक्ति अति प्रबल पुनीता। तू ही काली तू ही सीता॥
पतित तारिणी हे जग पालक। कल्याणी पापी कुल घालक॥

शेष सुरेश न पावत पारा। गौरी रूप धर्यो इक बारा॥
तुम समान दाता नहिं दूजा। विधिवत करें भक्तजन पूजा॥

रूप भयंकर जब तुम धारा। दुष्टदलन कीन्हेहु संहारा॥
नाम अनेकन मात तुम्हारे। भक्तजनों के संकट टारे॥

कलि के कष्ट कलेशन हरनी। भव भय मोचन मंगल करनी॥
महिमा अगम वेद यश गावैं। नारद शारद पार न पावैं॥

भू पर भार बढ्यौ जब भारी। तब तब तुम प्रकटीं महतारी॥
आदि अनादि अभय वरदाता। विश्वविदित भव संकट त्राता॥

कुसमय नाम तुम्हारौ लीन्हा। उसको सदा अभय वर दीन्हा॥
ध्यान धरें श्रुति शेष सुरेशा। काल रूप लखि तुमरो भेषा॥

कलुआ भैंरों संग तुम्हारे। अरि हित रूप भयानक धारे॥
सेवक लांगुर रहत अगारी। चौसठ जोगन आज्ञाकारी॥

त्रेता में रघुवर हित आई। दशकंधर की सैन नसाई॥
खेला रण का खेल निराला। भरा मांस-मज्जा से प्याला॥

रौद्र रूप लखि दानव भागे। कियौ गवन भवन निज त्यागे॥
तब ऐसौ तामस चढ़ आयो। स्वजन विजन को भेद भुलायो॥

ये बालक लखि शंकर आए। राह रोक चरनन में धाए॥
तब मुख जीभ निकर जो आई। यही रूप प्रचलित है माई॥

बाढ्यो महिषासुर मद भारी। पीड़ित किए सकल नर-नारी॥
करूण पुकार सुनी भक्तन की। पीर मिटावन हित जन-जन की॥

तब प्रगटी निज सैन समेता। नाम पड़ा मां महिष विजेता॥
शुंभ निशुंभ हने छन माहीं। तुम सम जग दूसर कोउ नाहीं॥

मान मथनहारी खल दल के। सदा सहायक भक्त विकल के॥
दीन विहीन करैं नित सेवा। पावैं मनवांछित फल मेवा॥

संकट में जो सुमिरन करहीं। उनके कष्ट मातु तुम हरहीं॥
प्रेम सहित जो कीरति गावैं। भव बन्धन सों मुक्ती पावैं॥

काली चालीसा जो पढ़हीं। स्वर्गलोक बिनु बंधन चढ़हीं॥
दया दृष्टि हेरौ जगदम्बा। केहि कारण मां कियौ विलम्बा॥

करहु मातु भक्तन रखवाली। जयति जयति काली कंकाली॥
सेवक दीन अनाथ अनारी। भक्तिभाव युति शरण तुम्हारी॥

प्रेम सहित जो करे, काली चालीसा पाठ।
तिनकी पूरन कामना, होय सकल जग ठाठ॥

Jai Kaali kalimalharan, mahima agam apaar.
Mahish mardini Kaalika, dehu abhay apaar.

Ari mad maan mitaavan haari. Mundmaal gal sohat pyaari.
Ashtbhuji sukhdaayak maata. Dushtdalan jag me vikhyaata.

Bhaal vishaal mukut chhavi chhaajai. Kar me sheesh shatru ka saajai.
Dooje haath liye madhu pyaala. Haath teesre sohat bhaala.

Chauthe khappar khadg kar paanche. Chhathe trishool shatru bal jaanche.
Saptam kar damkat asi pyaari. Shobha adbhut maat tumhaari.

Ashtam kar bhaktan var daata. Jag manharan roop ye maata.
Bhaktan me anurakt Bhavaani. Nishdin raten rishi-muni gyaani.

Mahaashakti ati prabal puneeta. Tu hi Kaali tu hi Seeta.
Patit taarini he jag paalak. Kalyaani paapi kul ghaalak.

Shesh Suresh na paavat paara. Gauri roop dharyo ik baara.
Tum samaan daata nahi dooja. Vidhivat karen bhaktjan pooja.

Roop bhayankar jab tum dhaara. Dushtdalan keenhehu sanhaara.
Naam anekan maat tumhaare. Bhaktjano ke sankat taare.

Kali ke kasht kaleshan harni. Bhav bhay mochan mangal karni.
Mahima agam ved yash gaavain. Naarad Shaarad paar na paavain.

Bhoo par bhaar badhyau jab bhaari. Tab tab tum prakatin mahtaari.
Aadi anaadi abhay vardaata. Vishwavidit bhav sankat traata.

Kusamay naam tumhaarau leenha. Usko sada abhay var deenha.
Dhyaan dharen shruti Shesh Suresha. Kaal roop lakhi tumro bhesha.

Kalua Bhairon sang tumhaare. Ari hit roop bhayaanak dhaare.
Sevak Laangur rahat agaari. Chausath jogan aagyaakaari.

Treta me Raghuvar hit aai. Dashkandhar ki sain nasaai.
Khela ran ka khel niraala. Bhara maans-majja se pyaala.

Raudra roop lakhi daanav bhaage. Kiyau gavan bhavan nij tyaage.
Tab aisau taamas chadh aayo. Swajan vijan ko bhed bhulaayo.

Ye baalak lakhi Shankar aaye. Raah rok charnan me dhaaye.
Tab mukh jeebh nikar jo aai. Yahi roop prachalit hai maai.

Baadhyo Mahishaasur mad bhaari. Peedit kiye sakal nar-naari.
Karun pukaar suni bhaktan ki. Peer mitaavan hit jan-jan ki.

Tab pragati nij sain sameta. Naam pada maa Mahish vijeta.
Shumbh Nishumbh hane chhan maahin. Tum sam jag doosar kou naahin.

Maan mathanhaari khal dal ke. Sada sahaayak bhakt vikal ke.
Deen viheen karen nit seva. Paavain manvaanchhit phal meva.

Sankat me jo sumiran karhin. Unke kasht maatu tum harhin.
Prem sahit jo keerti gaavain. Bhav bandhan son mukti paavain.

Kaali Chalisa jo padhhin. Swarglok binu bandhan chadhhin.
Daya drishti herau Jagdamba. Kehi kaaran maa kiyau vilamba.

Karhu maatu bhaktan rakhwaali. Jayati jayati Kaali Kankaali.
Sevak deen anaath anaari. Bhaktibhaav yuti sharan tumhaari.

Prem sahit jo kare, Kaali Chalisa paath.
Tinki pooran kaamna, hoy sakal jag thaath.

About the Kali Chalisa

The Kali Chalisa — the forty-verse hymn to Maa Kali, the fierce mother who destroys evil, recited for protection and fearlessness.

A chalisa is a devotional hymn of forty (chalis) verses (chaupais), framed by opening and closing dohas (couplets). The Kali Chalisa above is given in both Hindi (Devanagari) and English (Hinglish, Roman script) so you can read it in whichever script you are most comfortable with — switch between the two using the buttons above. It is traditionally recited with devotion, often after a bath and before the deity, especially on the day associated with the deity.