Lakshmi Chalisa
The Lakshmi Chalisa — the forty-verse hymn to Maa Mahalakshmi, goddess of wealth and fortune, recited for prosperity and well-being.
हिन्दी (Hindi)
English (Hinglish)
मातु लक्ष्मी करि कृपा, करो हृदय में वास।
मनोकामना सिद्ध कर, पुरवहु मेरी आस॥
सिन्धु सुता मैं सुमिरौं तोही। ज्ञान बुद्धि विद्या दो मोही॥
तुम समान नहिं कोई उपकारी। सब विधि पुरवहु आस हमारी॥
जय जय जगत जननि जगदम्बा। सबकी तुम ही हो अवलम्बा॥
तुम ही हो घट घट के वासी। विनती यही हमारी खासी॥
जगजननी जय सिन्धु कुमारी। दीनन की तुम हो हितकारी॥
विनवौं नित तुमको महरानी। कृपा करो जग जननि भवानी॥
केहि विधि स्तुति करौं तिहारी। सुधि लीजै अपराध बिसारी॥
कृपा दृष्टि चितवो मम ओरी। जगजननी विनती सुन मोरी॥
ज्ञान बुद्धि जय सुख की दाता। संकट हरो हमारी माता॥
क्षीरसिन्धु जब विष्णु मथायो। चौदह रतन सिन्धु में पायो॥
चौदह रतन में तुम सुखरासी। सेवा कियो प्रभु बनि दासी॥
जब जब जन्म जहाँ प्रभु लीन्हा। रूप बदल तहँ सेवा कीन्हा॥
स्वयं विष्णु जब नर तनु धारा। लीन्हेउ अवधपुरी अवतारा॥
तब तुम प्रकट जनकपुर माहीं। सेवा कियो हृदय पुलकाहीं॥
अपनायो तोही अन्तर्यामी। विश्व विदित त्रिभुवन की स्वामी॥
तुम सम सखी न जग में कोई। हरि उर बसहु सदा सुख दोई॥
देवी देव सब तुमको ध्यावैं। नित नव मंगल यश सब गावैं॥
महालक्ष्मी तुम सबकी माता। तुम ही जग की भाग्य विधाता॥
तुम बिन यज्ञ न कोई होवे। तुम बिन धन की आस न पोवे॥
शुभ गुण मन्दिर सुन्दर क्यारी। क्षीर सिन्धु जय भाग्य सँवारी॥
दीनदयाल सदा सुखदाई। नित प्रति मातु तुम्हें मन भाई॥
पूजन करत तुम्हें नर नारी। उतरत भव सागर से पारी॥
सुख सम्पति बहु आवै घर में। कष्ट क्लेश सब मिटे शरीर में॥
शुक्रवार को जो जन ध्यावे। श्रद्धा भक्ति सहित गुण गावे॥
महालक्ष्मी की कृपा सो पावे। दुख दारिद्र निकट नहिं आवे॥
सोलह शुक्रवार व्रत कीजे। उद्यापन फिर विधि से दीजे॥
जो यह पाठ करे चालीसा। पूरण आस करे जगदीशा॥
ध्यान लगाय करे जो कोई। ता पर कृपा लक्ष्मी होई॥
मातु लक्ष्मी जब जिय धारे। दुख दारिद्र सब दूर सिधारे॥
सुख सम्पति घर में नित आवे। भक्त सकल आनन्द मनावे॥
त्राहि त्राहि दुख हारिणी, हरो विपत्ति अपार।
उदासीन निज दास को, मातु करहु निस्तार॥
Maatu Lakshmi kari kripa, karo hriday me vaas.
Manokaamna siddh kar, puravahu meri aas.
Sindhu suta main sumirau tohi. Gyan buddhi vidya do mohi.
Tum samaan nahi koi upkaari. Sab vidhi puravahu aas hamaari.
Jai jai jagat janani Jagdamba. Sabki tum hi ho avlamba.
Tum hi ho ghat ghat ke vaasi. Vinti yahi hamaari khaasi.
Jagjanani jai sindhu kumaari. Deenan ki tum ho hitkaari.
Vinvau nit tumko mahraani. Kripa karo jag janani Bhavaani.
Kehi vidhi stuti karau tihaari. Sudhi leejai apraadh bisaari.
Kripa drishti chitvo mam ori. Jagjanani vinti sun mori.
Gyan buddhi jay sukh ki daata. Sankat haro hamaari maata.
Ksheersindhu jab Vishnu mathaayo. Chaudah ratan sindhu me paayo.
Chaudah ratan me tum sukhraasi. Seva kiyo Prabhu bani daasi.
Jab jab janm jahaan Prabhu leenha. Roop badal tah seva keenha.
Swayam Vishnu jab nar tanu dhaara. Leenheu Avadhpuri avtaara.
Tab tum prakat Janakpur maahi. Seva kiyo hriday pulkaahi.
Apnaayo tohi antaryaami. Vishwa vidit tribhuvan ki swami.
Tum sam sakhi na jag me koi. Hari ur basahu sada sukh doi.
Devi dev sab tumko dhyaavai. Nit nav mangal yash sab gaavai.
Mahalakshmi tum sabki maata. Tum hi jag ki bhaagya vidhaata.
Tum bin yagya na koi hove. Tum bin dhan ki aas na pove.
Shubh gun mandir sundar kyaari. Ksheer sindhu jay bhaagya sanvaari.
Deendayaal sada sukhdaai. Nit prati maatu tumhe man bhaai.
Poojan karat tumhe nar naari. Utrat bhav saagar se paari.
Sukh sampati bahu aavai ghar me. Kasht klesh sab mite shareer me.
Shukravaar ko jo jan dhyaave. Shraddha bhakti sahit gun gaave.
Mahalakshmi ki kripa so paave. Dukh daaridra nikat nahi aave.
Solah shukravaar vrat keeje. Udyaapan phir vidhi se deeje.
Jo yah paath kare Chalisa. Pooran aas kare jagdeesha.
Dhyaan lagaay kare jo koi. Ta par kripa Lakshmi hoi.
Maatu Lakshmi jab jiy dhaare. Dukh daaridra sab door sidhaare.
Sukh sampati ghar me nit aave. Bhakt sakal aanand manaave.
Traahi traahi dukh haarini, haro vipatti apaar.
Udaaseen nij daas ko, maatu karahu nistaar.