Vishnu Chalisa
Download PDF

Vishnu Chalisa

The Vishnu Chalisa — the forty-verse hymn to Bhagwan Vishnu, the preserver, recited for protection, prosperity and inner peace.

विष्णु सर्व व्यापक प्रभु, कमलनयन सुखधाम।
सुर मुनि वन्दित नाथ हरि, करहु सकल शुभ काम॥

नमो विष्णु भगवान खरारी। कष्ट नशावन अखिल बिहारी॥
प्रबल जगत में शक्ति तुम्हारी। त्रिभुवन फैल रही उजियारी॥

सुन्दर रूप मनोहर सूरत। सरल स्वभाव मोहनी मूरत॥
तन पर पीताम्बर अति सोहत। बैजन्ती माला मन मोहत॥

शंख चक्र कर गदा बिराजे। देखत दैत्य असुर दल भाजे॥
सत्य धर्म मद लोभ न गाजे। काम क्रोध मद लोभ न छाजे॥

सन्तभक्त सज्जन मनरंजन। दनुज असुर दुष्टन दल गंजन॥
सुख उपजाय कष्ट सब भंजन। दोष मिटाय करत जन सज्जन॥

पाप काट भव सिन्धु उतारण। कष्ट नाश कर भक्त उबारण॥
करत अनेक रूप प्रभु धारण। केवल आप भक्ति के कारण॥

धरणि धेनु बन तुमहिं पुकारा। तब तुम रूप राम का धारा॥
भार उतार असुर दल मारा। रावण आदिक को संहारा॥

आप वराह रूप बनाया। हिरण्याक्ष को आप खपाया॥
धर मत्स्य तन सिन्धु बनाया। चौदह रतनन को निकलाया॥

अमिलख असुरन द्वन्द मचाया। रूप मोहिनी आप दिखाया॥
देवन को अमृत पान कराया। असुरन को छवि से बहलाया॥

कूर्म रूप धर सिन्धु मझाया। मन्द्राचल गिरि तुरत उठाया॥
शंकर का तुम फन्द छुड़ाया। भस्मासुर को रूप दिखाया॥

वेदन को जब असुर डुबाया। कर प्रबन्ध उन्हें ढुँढाया॥
मोहित बनकर खलहिं नचाया। उसही कर से भस्म कराया॥

असुर जलन्धर अति बलदाई। शंकर से उन कीन्ह लड़ाई॥
हार पार शिव सकल बनाई। कीन सती से छल खल जाई॥

सुमिरन कीन तुम्हें शिवरानी। बतलाई सब विपत कहानी॥
तुरत विष्णु तुम बैन बढ़ाई। हो रूप वृन्दा बहलाई॥

किया खण्ड फल तासु अधर्मा। शिव से करवायो असुर कर्मा॥
तुमने ध्रुव प्रहलाद उबारे। हिरणाकुश आदिक खल मारे॥

गणिका और अजामिल तारे। बहुत भक्त भव सिन्धु उतारे॥
हरहु सकल संताप हमारे। कृपा करहु हरि सिरजनहारे॥

देखहुँ प्रतिपल पास पुकारी। सेवक की सुन लेहु गोहारी॥
देखत हो माया विस्तारी। हरहु कष्ट उपजे दुखभारी॥

जय जय जय भक्तन हितकारी। जय जय जय हे करुणाधारी॥
मातु लक्ष्मी करत सिंगारा। नित बैकुण्ठ करत बिहारा॥

योगी भोगी पावत दर्शन। केहि विधि वर्णन करूँ तुम्हारी॥
पतित भक्त गण की सुधि लीजे। चरण कमल पर मन धरि दीजे॥

क्षीरसिन्धु में हो शयनकारी। लक्ष्मी सेवत निशदिन भारी॥
करत सदा भक्तन रखवारी। तुम सम और दयालु न कोई॥

दीन दयालु करहु अब दाया। राखहु जन की सदा छाया॥
तुम्हरी आस लागि हम स्वामी। आस पूजि करु अन्तर्यामी॥

जो यह पाठ करे चालीसा। होय सुखी अरु पूर्ण जगीसा॥
प्रेम सहित जो ध्यान लगावे। ता पर कृपा विष्णु बरसावे॥

पाठ करावे विष्णु का, नित प्रति जो नर कोय।
ज्ञान भक्ति उर ऊपजे, सब सुख सम्पति होय॥

Vishnu sarv vyaapak Prabhu, kamalnayan sukhdhaam.
Sur muni vandit naath Hari, karahu sakal shubh kaam.

Namo Vishnu Bhagvaan Kharaari. Kasht nashaavan akhil bihaari.
Prabal jagat me shakti tumhaari. Tribhuvan phail rahi ujiyaari.

Sundar roop manohar soorat. Saral swabhaav mohini moorat.
Tan par peetaambar ati sohat. Baijanti maala man mohat.

Shankh chakra kar gada biraaje. Dekhat daitya asur dal bhaaje.
Satya dharm mad lobh na gaaje. Kaam krodh mad lobh na chhaaje.

Santbhakt sajjan manranjan. Danuj asur dushtan dal ganjan.
Sukh upjaay kasht sab bhanjan. Dosh mitaay karat jan sajjan.

Paap kaat bhav sindhu utaaran. Kasht naash kar bhakt ubaaran.
Karat anek roop Prabhu dhaaran. Keval aap bhakti ke kaaran.

Dharani dhenu ban tumahi pukaara. Tab tum roop Ram ka dhaara.
Bhaar utaar asur dal maara. Raavan aadik ko sanhaara.

Aap Varaah roop banaaya. Hiranyaaksh ko aap khapaaya.
Dhar Matsya tan sindhu banaaya. Chaudah ratnan ko nikalaaya.

Amilakh asuran dvand machaaya. Roop Mohini aap dikhaaya.
Devan ko amrit paan karaaya. Asuran ko chhavi se bahlaaya.

Koorm roop dhar sindhu majhaaya. Mandraachal giri turat uthaaya.
Shankar ka tum phand chhudaaya. Bhasmaasur ko roop dikhaaya.

Vedan ko jab asur dubaaya. Kar prabandh unhe dhundaaya.
Mohit bankar khalahi nachaaya. Usahi kar se bhasm karaaya.

Asur Jalandhar ati baldaai. Shankar se un keenh ladaai.
Haar paar Shiv sakal banaai. Keen Sati se chhal khal jaai.

Sumiran keen tumhe Shivraani. Batlaai sab vipat kahaani.
Turat Vishnu tum bain badhaai. Ho roop Vrinda bahlaai.

Kiya khand phal taasu adharma. Shiv se karvaayo asur karma.
Tumne Dhruv Prahlaad ubaare. Hiranaakush aadik khal maare.

Ganika aur Ajaamil taare. Bahut bhakt bhav sindhu utaare.
Harahu sakal santaap hamaare. Kripa karahu Hari sirjanhaare.

Dekhahu pratipal paas pukaari. Sevak ki sun lehu gohaari.
Dekhat ho maya vistaari. Harahu kasht upje dukhbhaari.

Jai jai jai bhaktan hitkaari. Jai jai jai he karunaadhaari.
Maatu Lakshmi karat singaara. Nit Baikunth karat bihaara.

Yogi bhogi paavat darshan. Kehi vidhi varnan karu tumhaari.
Patit bhakt gan ki sudhi leeje. Charan kamal par man dhari deeje.

Ksheersindhu me ho shayankaari. Lakshmi sevat nishdin bhaari.
Karat sada bhaktan rakhvaari. Tum sam aur dayaalu na koi.

Deen dayaalu karahu ab daaya. Raakhahu jan ki sada chhaaya.
Tumhari aas laagi ham swami. Aas pooji karu antaryaami.

Jo yah paath kare Chalisa. Hoy sukhi aru poorn jageesa.
Prem sahit jo dhyaan lagaave. Ta par kripa Vishnu barsaave.

Paath karaave Vishnu ka, nit prati jo nar koy.
Gyan bhakti ur oopje, sab sukh sampati hoy.

About the Vishnu Chalisa

The Vishnu Chalisa — the forty-verse hymn to Bhagwan Vishnu, the preserver, recited for protection, prosperity and inner peace.

A chalisa is a devotional hymn of forty (chalis) verses (chaupais), framed by opening and closing dohas (couplets). The Vishnu Chalisa above is given in both Hindi (Devanagari) and English (Hinglish, Roman script) so you can read it in whichever script you are most comfortable with — switch between the two using the buttons above. It is traditionally recited with devotion, often after a bath and before the deity, especially on the day associated with the deity.