Saraswati Chalisa
Download PDF

Saraswati Chalisa

The Saraswati Chalisa — the forty-verse hymn to Maa Saraswati, goddess of knowledge, music and the arts, recited for learning and wisdom.

जनक जननि पद कमल रज, निज मस्तक पर धारि।
बन्दौं मातु सरस्वती, बुद्धि बल दे दातारि॥
पूर्ण जगत में व्याप्त तव, महिमा अमित अनन्त।
वन्दन कीन्हो शारदा, सुधि लीजै भगवन्त॥

जय श्री सकल बुद्धि बलरासी। जय सर्वज्ञ अमर अविनासी॥
जय जय जय वीणाकर धारी। करती सदा सुहंस सवारी॥

रूप चतुर्भुजधारी माता। सकल विश्व अन्दर विख्याता॥
जग में पाप बुद्धि जब होती। तबहिं धर्म की फीकी ज्योती॥

तब तब मातु तुम धरयो शरीरा। हरयो सकल जन भू की पीरा॥
वाल्मीकि जी थे हत्यारा। तव प्रसाद जानै संसारा॥

रामायण जो रचे बनाई। आदि कवि की पदवी पाई॥
कालिदास जो भये विख्याता। तेरी कृपा दृष्टि से माता॥

तुलसी सूर आदि विद्वाना। भये और जो ज्ञानी नाना॥
तिन्हहि न और रहेउ अवलम्बा। केवल कृपा आपकी अम्बा॥

करहु कृपा सोई मातु भवानी। दुखित दीन निज दासहि जानी॥
पुत्र करै अपराध बहूता। तेहि न धरै चित माता माता॥

राखु लाज जननी अब मेरी। विनय करौं भाँति बहुतेरी॥
मैं अनाथ तेरी अवलम्बा। कृपा करौ जय जय जगदम्बा॥

मधु कैटभ जो अति बलवाना। बाहु युद्ध विष्णु से ठाना॥
समर हजार पाँच में घोरा। फिर भी मुख उनसे नहिं मोरा॥

मातु सहाय कीन्ह तेहि काला। बुद्धि विपरीत भई खलहाला॥
तेहि ते मृत्यु भई खल केरी। पुरवहु मातु मनोरथ मेरी॥

चण्ड मुण्ड जो थे विख्याता। क्षण महँ संहारेउ तेहि माता॥
रक्तबीज से समरथ पापी। सुर मुनि हृदय धरा सब काँपी॥

काटेउ शीश जिमि कदली खम्बा। बार बार बिनवौं जगदम्बा॥
जग प्रसिद्ध जो शुम्भ निशुम्भा। छिन में बधे ताहि तुम अम्बा॥

भरत मातु बुद्धि फेरेउ जाई। रामचन्द्र बनवास कराई॥
एहि विधि रावण वध तुम कीन्हा। सुर नर मुनि सब कहँ सुख दीन्हा॥

को समरथ तव यश गुन गाना। निगम अनादि अनन्त बखाना॥
विष्णु रुद्र अज सकहिं न मारी। जिनकी हो तुम रक्षाकारी॥

रक्त दन्तिका और शताक्षी। नाम अपार है दानव भक्षी॥
दुर्गम काज धरा पर कीन्हा। दुर्गा नाम सकल जग लीन्हा॥

दुर्ग आदि हरनी तू माता। कृपा करहु जब जब सुखदाता॥
नृप कोपित को मारन चाहे। कानन में मृग जिमि बन धावे॥

जो नर ध्यान करे जिय माहीं। ताकी विपत हरहु तुम ताहीं॥
करहु कृपा भारत के माता। दुष्ट संहारौ करहु शुभदाता॥

तुम्हें सदा सेवक जो ध्यावे। नवो निद्धि अरु अष्ट सिद्धि पावे॥
ध्यान धरे जो श्रद्धा लाई। शारद कृपा करे सुखदाई॥

मातु सूर्य कान्ति तव अंगा। तुम्हरी छवि निरखत मन चंगा॥
रूप चतुर्भुज शोभा भारी। कर वीणा पुस्तक माल सँवारी॥

जो यह पाठ करे चालीसा। ज्ञान बुद्धि दे मातु जगीसा॥
धूप दीप नैवेद्य चढ़ावे। संत सुजन सब आनन्द पावे॥

माँ सूरज सी ज्योति तुम, श्रद्धा बुद्धि निधान।
जो जन तुमको ध्यावहीं, होय सुजान बलवान॥

Janak janani pad kamal raj, nij mastak par dhaari.
Bandau maatu Saraswati, buddhi bal de daataari.
Poorn jagat me vyaapt tav, mahima amit anant.
Vandan keenho Shaarda, sudhi leejai bhagvant.

Jai Shri sakal buddhi balraasi. Jai sarvagya amar avinaasi.
Jai jai jai veenaakar dhaari. Karti sada suhans savaari.

Roop chaturbhujdhaari maata. Sakal vishwa andar vikhyaata.
Jag me paap buddhi jab hoti. Tabahi dharm ki feeki jyoti.

Tab tab maatu tum dharyo shareera. Haryo sakal jan bhoo ki peera.
Vaalmiki ji the hatyaara. Tav prasaad jaanai sansaara.

Raamaayan jo rache banaai. Aadi kavi ki padvi paai.
Kaalidaas jo bhaye vikhyaata. Teri kripa drishti se maata.

Tulsi Soor aadi vidvaana. Bhaye aur jo gyani naana.
Tinhahi na aur raheu avlamba. Keval kripa aapki amba.

Karahu kripa soi maatu Bhavaani. Dukhit deen nij daasahi jaani.
Putra karai apraadh bahoota. Tehi na dharai chit maata maata.

Raakhu laaj janani ab meri. Vinay karau bhaanti bahuteri.
Main anaath teri avlamba. Kripa karau jai jai Jagdamba.

Madhu Kaitabh jo ati balvaana. Baahu yuddh Vishnu se thaana.
Samar hajaar paanch me ghora. Phir bhi mukh unse nahi mora.

Maatu sahaay keenh tehi kaala. Buddhi vipreet bhai khalhaala.
Tehi te mrityu bhai khal keri. Puravahu maatu manorath meri.

Chand Mund jo the vikhyaata. Kshan mah sanhaareu tehi maata.
Raktabeej se samrath paapi. Sur muni hriday dhara sab kaanpi.

Kaateu sheesh jimi kadli khamba. Baar baar binvau Jagdamba.
Jag prasiddh jo Shumbh Nishumbha. Chhin me badhe taahi tum amba.

Bharat maatu buddhi phereu jaai. Ramchandra banvaas karaai.
Ehi vidhi Raavan vadh tum keenha. Sur nar muni sab kah sukh deenha.

Ko samrath tav yash gun gaana. Nigam anaadi anant bakhaana.
Vishnu Rudra aj sakahi na maari. Jinki ho tum rakshaakaari.

Rakt dantika aur Shataakshi. Naam apaar hai daanav bhakshi.
Durgam kaaj dhara par keenha. Durga naam sakal jag leenha.

Durg aadi harni too maata. Kripa karahu jab jab sukhdaata.
Nrip kopit ko maaran chaahe. Kaanan me mrig jimi ban dhaave.

Jo nar dhyaan kare jiy maahi. Taaki vipat harahu tum taahi.
Karahu kripa Bhaarat ke maata. Dusht sanhaarau karahu shubhdaata.

Tumhe sada sevak jo dhyaave. Navo niddhi aru asht siddhi paave.
Dhyaan dhare jo shraddha laai. Shaarad kripa kare sukhdaai.

Maatu soorya kaanti tav anga. Tumhri chhavi nirkhat man changa.
Roop chaturbhuj shobha bhaari. Kar veena pustak maal sanvaari.

Jo yah paath kare Chalisa. Gyan buddhi de maatu jageesa.
Dhoop deep naivedya chadhaave. Sant sujan sab aanand paave.

Maa sooraj si jyoti tum, shraddha buddhi nidhaan.
Jo jan tumko dhyaavahi, hoy sujaan balvaan.

About the Saraswati Chalisa

The Saraswati Chalisa — the forty-verse hymn to Maa Saraswati, goddess of knowledge, music and the arts, recited for learning and wisdom.

A chalisa is a devotional hymn of forty (chalis) verses (chaupais), framed by opening and closing dohas (couplets). The Saraswati Chalisa above is given in both Hindi (Devanagari) and English (Hinglish, Roman script) so you can read it in whichever script you are most comfortable with — switch between the two using the buttons above. It is traditionally recited with devotion, often after a bath and before the deity, especially on the day associated with the deity.